
2025 Ki es battle ne sbko piche choda hai. iPhone 16 Pro Max or Samsung Galaxy S25 Ultra dono apne aura ke best competitors hai. But Konsa phone zyada powerful, durable, and user-friendly hai?
Is post mein hum dono flagship devices ko compare karenge, taaki aap apne liye best flagship phone choose kar sake.
Table of Contents
iPhone 16 Pro Max or Samsung Galaxy S25:
Specifications Comparison:
Feature | iPhone 16 Pro Max | Galaxy S25 Ultra |
Display | 6.7″ Super Retina XDR OLED | 6.9″ Dynamic AMOLED 2X |
Processor | A18 Bionic | Snapdragon 8 Gen 4 |
Camera | 48MP + 12MP Ultra + 3D LiDAR | 200MP + 50MP periscope |
Battery | 5000mAh, 20W fast charging | 5100mAh, 65W fast charging |
Operating System | iOS 17 | Android 14 with One UI 7.1 |
Price | ₹1,79,999 (Starting) | ₹1,49,999 (Starting) |

Display and Design:
- iPhone 16 Pro Max ka display 120Hz ProMotion with Dolby Vision offer karta hai, jo display clarity aur video streaming ke liye best hai.
- Galaxy S25 Ultra ka 6.9″ AMOLED 2X display brightness aur sharpness mein iPhone ko tough competition deta hai. 120Hz refresh rate aur ultra-clear colors, gaming aur media consumption ke liye perfect hai.
Camera Comparison:
- iPhone 16 Pro Max ka 48MP primary camera aur 12MP ultra-wide shots kaafi realistic aur color-accurate hain. 3D LiDAR sensor bhi hai, jo depth sensing aur AR apps ke liye kaafi useful hai.
- Samsung Galaxy S25 Ultra ka 200MP primary sensor se aap high zoom shots bhi capture kar sakte hain bina image quality lose kiye. 50MP periscope zoom lens 10X optical zoom tak support karta hai.
Performance:
- iPhone 16 Pro Max ka A18 Bionic chip game-changing performance de raha hai, with unmatched speed in app loading, multitasking, aur gaming.
- Galaxy S25 Ultra ka Snapdragon 8 Gen 4 bhi industry-leading hai, gaming aur multitasking mein smooth performance de raha hai, especially 120Hz display ke saath.
Battery and Charging:
- iPhone 16 Pro Max mein 5000mAh battery hai, jo 20W fast charging support karta hai. Yeh phone ek din ki heavy use ke liye kaafi hai.
- Galaxy S25 Ultra mein 5100mAh battery hai aur 65W fast charging support karta hai, jo 0-100% ko sirf 47 minutes mein charge kar leta hai.
Software and Operating System:
- iPhone 16 Pro Max mein iOS 17 hai, jo app ecosystem aur device synchronization ko seamless banata hai. Regular updates aur security patches milte hain.
- Samsung Galaxy S25 Ultra mein Android 14 with One UI 7.1 hai, jo customization aur personalization options offer karta hai.
Pros and Cons:
Model | Pros | Cons |
iPhone 16 Pro Max | Best video recording (4K Dolby Vision), Clean iOS interface, Long-term software updates | Expensive, No USB-C port |
Galaxy S25 Ultra | Amazing camera performance, Larger battery & fast charging, Stunning display | Bulky design, Expensive |

Conclusion:
Agar aap Apple ke user ho, aur aapko video quality aur software reliability chahiye, toh iPhone 16 Pro Max best choice hai.
Agar aapko premium display, high-res camera, aur faster charging chahiye, toh Samsung Galaxy S25 Ultra hai apka flagship king!
iPhone 16 Pro Max or Samsung Galaxy S25 Ultra mein kaunsa zyada durable hai?
Dono phones premium materials se bane hain. iPhone 16 Pro Max mein titanium frame hai, jabki Galaxy S25 Ultra mein Gorilla Glass Armor. Dono hi water-resistant hain (IP68), lekin iPhone thoda zyada sturdy feel deta hai.
Dono phones mein video recording quality kaunsi better hai?
iPhone 16 Pro Max Dolby Vision 4K 60fps record karta hai, jo cinematic quality ke liye best mana jata hai. Galaxy S25 Ultra bhi 8K video support karta hai, par color accuracy mein iPhone thoda better hai.
Galaxy S25 Ultra or iPhone 16 Pro Max – gaming ke liye kaunsa better hai?
Galaxy S25 Ultra mein larger AMOLED display aur higher watt charging hone ki wajah se extended gaming ke liye suitable hai. iPhone ki performance A18 chip ke saath ultra-smooth hai, lekin thoda heat zyada ho sakta hai.
Long-term usage ke liye kaunsa phone better hoga?
Apple generally 5-6 saal tak software updates deta hai, jabki Samsung bhi ab 4-5 saal tak major Android upgrades promise karta hai. Apple ka resale value bhi zyada hota hai.
Kya Galaxy S25 Ultra mein S-Pen support milta hai?
Haan, Galaxy S25 Ultra mein S-Pen built-in hota hai, jo productivity aur creative use cases ke liye kaafi useful feature hai.